Tum ho to mukammal si hai jindagi….

AJ jindagi se naraj nahi hu mein,
Kuch hai hava mein, jo keh Raha hai,
Pass ho tum, tumse duur nahi hu mein,
Palko ke assu, sapne ban jo chalak jate the,
Tham se Gaye hai,
Pata nahi, Kyun, umeed ban muskura rahe hai.
Koi ghar hai jo humara hai,
Tumhara pura, mera abhi adhura hai,
Us ghar ko Sanjana ki koshish hai…
Muzhe yakin hai tum haat mera jaroor thamoge,
Insha Allah mere Safar mein mere saath chaloge.
Jindagi Abhi adhuri hai,
Tumhare sang jo nahi gujari hai,
Akele shayad yuhi gujar jaye adhurisi jindagi …
Tum Jo ho to mukammal si hai jindagi

Leave a comment